jang mein parwar-digar-e-shab ka kya qissa hua
lashkar-e-shab subh ki sarhad pe kyun paspa hua
ek ajab si pyas maujon mein sada deti hui
main samundar apni hi dahliz par bikhra hua
kachchi diwaren sada-noshi mein kitni taq thin
pattharon mein chiKH kar dekha to andaza hua
kya sadaon ko salib-e-KHamushi de di gai
ya junun ke KHwab ki tabir sannaTa hua
rafta rafta mausamon ke rang yun bikhre ki bas
hai mere andar koi zinda magar TuTa hua
sabz hathon ki lakiren zard mathe ki shikan
aur kya deta meri taqdir ka likkha hua
Ghazal
Jang mein parwar-digar-e-shab ka kya qissa hua
Jamuna Parsad Rahi