jang jari hai KHandanon mein
ghair mahfuz hun makanon mein
lafz pathra gae hain honTon par
log kya kah gae hain kanon mein
raat ghar mein thi sar-phiri aandhi
sirf kanTe hain phul-danon mein
mabadon ki KHabar nahin mujh ko
KHairiyat hai sharab-KHanon mein
ab sipar DhunD koi apne liye
tir kam rah gae kamanon mein
naKHuda kya KHuda rakhe mahfuz
wo hawaen hain baadbanon mein
dal chunane mein hath aaenge
jitne kankar hain kar-KHanon mein
DhunDta phir raha hun KHali hath
jaane kya chiz un dukanon mein
Ghazal
Jang jari hai KHandanon mein
Ameer Qazalbash