jamal-gah-e-taghazzul ki tab-o-tab teri yaad
pa tangnae-ghazal mein samae kab teri yaad
kisi khanDar se guzarti hawa ka nam! tera gham!!
shajar pe girti hui barf ka tarab teri yaad
tu mujh se mere zamanon ka puchhti hai to sun!
tera junun, tera sauda, teri talab, teri yaad
guzar-gahon ko ujaDne nahin diya tu ne
kabhi yahan se guzarti thi tu, aur ab teri yaad
ye qaid-e-umr to kaTti nazar nahin aati!
bas ek qarina! tera dhyan, ek Dhab! teri yaad
ba-faiz-e-dard-e-mohabbat main KHush nasab, main najib!
mera qabila tera gham, mera nasab teri yaad
ba-juz hikayat-e-tu in wajud-e-chiz-e-nist
main kul ka kul tera qissa main sab ka sab teri yaad
darin guman-kada kullo-man-alaiha-fan
bas ek chhalawa mera ishq, ek chhab teri yaad
bahar sabil-e-hunar ka safar to jari hai
kabhi kuchh aur bahana, kabhu sabab teri yaad
Ghazal
Jamal-gah-e-taghazzul ki tab-o-tab teri yaad
Iftikhar Mughal