اردو हिंदी
Jalwa-gar fanus-e-tan mein hai hamara man charagh | Shaahi Shayari
jalwa-gar fanus-e-tan mein hai hamara man charagh

Ghazal

Jalwa-gar fanus-e-tan mein hai hamara man charagh

Shaikh Zahuruddin Hatim

;

jalwa-gar fanus-e-tan mein hai hamara man charagh
be-bati aur tel ye hai roz o shab raushan charagh

ta-abad is ko nahin baad-e-muKHalif se KHatar
hai hamare hath par be-parda-e-daman charagh

aaj ki shab lutf hai sair-e-chaman ai andalib
roghan-e-gul se hua hai har gul-e-gulshan charagh

Dar nahin majnun ko phirne ka shab-e-hijran ke bich
haq mein us ke dida-e-ahu hue ban ban charagh

yak nazar us ki dil-e-mushtaq hai jin ne ki aaj
ek jalwe mein kiya hai KHana-e-darpan charagh

jab se hai raushan dilon ke dil par 'hatim' ki nigah
tab se raushan hai ga us ke dil ka be-roghan charagh