jalwa-e-didar to ek baat hai
lan-tarani aashiqon ki ghat hai
aashna jis ka hai tu aaram-e-jaan
wo jahan mein morid-e-afat hai
bosa-e-ruKH de zakat-e-husn hai
ai hasin ye daKHil-e-hasnat hai
aaina-KHana bana hai mera dil
dekh le kya KHushnuma miraat hai
jaan-o-dil tha nazr teri kar chuka
tere aashiq ki yahi auqat hai
girya-e-ushshaq par hain KHanda-zan
kahte hain kya KHushnuma barsat hai
hijr ki shab hai hujum-e-sad-bala
main hun tanha aur KHuda ki zat hai
KHatma-bil-KHair ho jae kahin
sharm apni ab KHuda ke hath hai
zindagi hai chaar din ki chandni
phir wahi 'saqi' andheri raat hai
Ghazal
Jalwa-e-didar to ek baat hai
Pandit Jawahar Nath Saqi