jalte jalte bujh gai ek mom-batti raat ko
mar gai faqa-zada masum bachchi raat ko
aandhiyon se kya bachati phul ko kanTon ki baD
sehn mein bikhri hui thi patti patti raat ko
kitna bosida durida pairahan hai zeb-e-tan
wo jo charKHa kaTti rahti hai laDki raat ko
sehn mein ek shor sa har aankh hai hairat-zada
chuDiyan sab toD din dulhan ne pahli raat ko
jab chali ThanDi hawa bachcha ThiThur kar rah gaya
man ne apne lal ki taKHti jala di raat ko
waqt to har ek dar par dastaken deta raha
ek saat ke liye jagi na basti raat ko
margh-zar-e-shaeri mein gum raha 'sabt-e-ali'
so gai rah dekhte bimar biwi raat ko
Ghazal
Jalte jalte bujh gai ek mom-batti raat ko
Sibt Ali Saba