jalte hain aur hum sin jab mangte ho pyala
hote hain dagh dil mein jun jun kate ho la la
biksa hai tamam zalim tujh chashm ka dumbaala
laga hai us ke dil mein dekha hai jin mein bhaala
us shoKH-e-sarw-qad kun hum jaante the bhola
mil upri tarah sin kya de gaya hai baala
ai sard-mehr tujh sin KHuban jahan ke kanpe
KHurshid thartharaya aur mah dekh haala
jab sin tere mulaem galon mein dil dhansa hai
narmi sun dil hua hai tab sun rui ka gala
faujaan sin baDh chale jun yakka koi sipahi
yun KHal chhuT KHat sen mukh par rahe nirala
kyunkar paDe na mere girye ka shor jag mein
umDa hai mujh nayan sin anjhuwan ke sath nala
jogi hua pe nata lalach ka chhoDta nahin
kahta hai sab kun baba japta phire hai mala
jhamki dikha nigah ki dil chhin le chali hain
ye kis teri ankhiyon kun sikhla diya chhinala
ashaar 'abru' ke rashk-e-guhar hue hain
dagh-e-suKHan sin us ko lulu hua hai lala
Ghazal
Jalte hain aur hum sin jab mangte ho pyala
Abroo Shah Mubarak