jalne mein kya lutf hai ye to puchho tum parwane se
diwana-pan kya shai hai ye raaz mile diwane se
naw bhanwar mein aai hai ab bachna hua muhaal bahut
jo hona hai so hoga kya hoga ji bahlane se
gar is sari umr mein ek bhi lamha nahin masarrat ka
kaise soch len ho jaenge KHatm ye dukh mar jaane se
ab bhi bhara nahin hai tumhaara ji to kar lo aur sitam
dil to baz nahin aane wala hai aise satane se
kitni bar kaha logon ne 'KHayal' bhala de zalim ko
kash ki pagle log ye sochen bhula hai koi bhulane se

Ghazal
Jalne mein kya lutf hai ye to puchho tum parwane se
Sikandar Hayat Khayal