اردو हिंदी
Jale charagh bujhane ki zid nahin karte | Shaahi Shayari
jale charagh bujhane ki zid nahin karte

Ghazal

Jale charagh bujhane ki zid nahin karte

Chandni Pandey

;

jale charagh bujhane ki zid nahin karte
ab aa gae ho to jaane ki zid nahin karte

kisi ki aankh mein aansu hamein pasand nahin
dilon ke zaKHm dikhane ki zid nahin karte

tumhaare nam ka bhi zikr ho na jae kahin
ghazal ke sher sunane ki zid nahin karte

hamare sae bhi raste mein chhoD jate hai
hamara sath nibhane ki zid nahin karte

KHala mein koi imarat kabhi nahin Tikti
wahan makan banane ki zid nahin karte

ye shahr-e-sang hai patthar ke log rahte hain
yahan pe phol khilane ki zid nahin karte

zamin jaisa kahin chand bhi na ho jae
zamin pe chand ko lane ki zid nahin karte