اردو हिंदी
Jal rahi thi ek diye mein raat KHeme se alag | Shaahi Shayari
jal rahi thi ek diye mein raat KHeme se alag

Ghazal

Jal rahi thi ek diye mein raat KHeme se alag

Masood Hasan

;

jal rahi thi ek diye mein raat KHeme se alag
tapte the do parinde hat KHeme se alag

mund rahi thin nind se aankhen shikasta taq mein
paDh rahi thi raushni tauraat KHeme se alag

ek ThaThurti raat aatish-dan mein bujhta badan
main alag tha aur meri zat KHeme se alag

ug rahe the mere honTon se muqaddas harf-o-saut
paDh raha tha main nabi ki nat KHeme se alag

bun raha tha main gire patton se mausam ka libas
us ne likkha tha ki manzar kat KHeme se alag