اردو हिंदी
Jal-pari hai to wo tasKHir bhi ho sakti hai | Shaahi Shayari
jal-pari hai to wo tasKHir bhi ho sakti hai

Ghazal

Jal-pari hai to wo tasKHir bhi ho sakti hai

Zeeshaan sajid

;

jal-pari hai to wo tasKHir bhi ho sakti hai
KHwab hota hai to tabir bhi ho sakti hai

zindagi ko zara shatranj samajh kar dekho
mere jhuk jaane mein tadbir bhi ho sakti hai

masale mujh ko miTane hi ka saman nahin
masalon se meri tamir bhi ho sakti hai

yar malum hawa hai ki KHala KHali nahin
raat aaine mein taswir bhi ho sakti hai

zindagi film nahin jis ka ho anjam hasin
surat-e-haal ye gambhir bhi ho sakti hai

is se behtar hai ki hum samne laen ulfat
kuchh nahin hone ki tashhir bhi ho sakti hai

zimmedari bhi dafatir mein taraqqi se baDhe
aap ki tie to zanjir bhi ho sakti hai

sare jale hain wajuhat ke jale lekin
ye jo makDi hai ye taqdir bhi ho sakti hai

waqt ke sath nikhar jata hai taKHliq ka fan
sham-e-'zishan' shab-e-'mir' bhi ho sakti hai