jal gaya KHak hua kab ka wo parwana-e-dil
KHatm hota nahin ab tak magar afsana-e-dil
hashr ke din pe uTha rakh ki baDa sauda hai
aalam-e-husn se mumkin nahin baiana-e-dil
aap ki ek nigah-e-naz use chhalka deti
qabil-e-sharbat-e-didar tha paimana-e-dil
hum jabhi samjhe the anjam ki jab fitrat ne
KHak aur KHun se tayyar kiya KHana-e-dil
jalne wale se alag ho gae ham-mashrab-e-jaan
de ke aag uTh gai wo sohbat-e-rindana-e-dil
tishna-e-jam-e-mohabbat se hamin waqif hain
qadr kya un ko jo toDa kiye paimana-e-dil
dohri zanjiron mein jakDa hai muqaddar ne mujhe
us ka diwana hai dil aur main diwana-e-dil
zabt karta hun magar Dar hai ki sham-e-gham mein
kahin tang aa ke na khul jae sulah-KHana-e-dil
ab to qatra nahin han wo bhi kabhi din the ki hum
mast ho jate the KHud dekh ke mai-KHana-e-dil
ja-e-ummid-o-tamanna ka pata milta hai
ab bhi dilkash hai mere waste virana-e-dil
hai to miTTi ka magar qudarat-e-KHaliq bhi hai
husn wale na bana len koi paimana-e-dil
dekh kar tafraqa-e-mehr-o-jafa hum samjhe
ek hi waza ka banta nahin kashana-e-dil
kaenat-e-do-jahan pas hai phir tang nahin
aur bhi kuchh ho to KHali hai abhi KHana-e-dil
ruKH-e-rangin-e-hasin ek chaman hai lekin
raundne ke liye ho sabza-e-begana-e-dil
husn hai KHud hain zamana hai wo kyun ghabraen
aur yahan kya hai magar han wahi virana-e-dil
miT ke taswir-e-KHarabaat hai ab to warna
kaba kahte the sab aisa tha sanam-KHana-e-dil
kahiye qissa koi arbab-e-wafa ka 'saqib'
chhoDiye zikr jafa ka ki hai begana-e-dil
Ghazal
Jal gaya KHak hua kab ka wo parwana-e-dil
Saqib Lakhnavi