jahan sinon mein dil shanon pe sar aabaad hote hain
wahi do-chaar to basti mein ghar aabaad hote hain
bahut sabit-qadam niklen gae waqton ki tahziben
ki ab un ke hawalon se khanDar aabaad hote hain
buzurgon ko tabarruk ki tarah rakkho makanon mein
balaen rad kiye jaane se ghar aabaad hote hain
zaban-bandi ke mausam mein gali-kuchon ki mat puchho
parindon ke chahakne se shajar aabaad hote hain
jo patthar ki silon ko taj-mahalon mein badal Dalen
yahan kachche gharon mein wo hunar aabaad hote hain
mere andoh mein muzmar hai us ki sarKHushi aise
Dubo kar kashtiyan jaise bhanwar aabaad hote hain
meri tamir behtar shakl mein hone ko hai 'anjum'
ki jangal saf hone se nagar aabaad hote hain
Ghazal
Jahan sinon mein dil shanon pe sar aabaad hote hain
Anjum Khaleeq