اردو हिंदी
Jahan qatre ko tarsaya gaya hun | Shaahi Shayari
jahan qatre ko tarsaya gaya hun

Ghazal

Jahan qatre ko tarsaya gaya hun

Hafeez Jalandhari

;

jahan qatre ko tarsaya gaya hun
wahin Duba hua paya gaya hun

ba-haal-e-gumrahi paya gaya hun
haram se dair mein laya gaya hun

bala kafi na thi ek zindagi ki
dobara yaad farmaya gaya hun

ba-rang-e-lala-e-virana bekar
khilaya aur murjhaya gaya hun

agarche abr-e-gauhar-bar hun main
magar aankhon se barsaya gaya hun

supurd-e-KHak hi karna tha mujh ko
to phir kahe ko nahlaya gaya hun

farishte ko na main shaitan samjha
natija ye ki bahkaya gaya hun

koi sanat nahin mujh mein to phir kyun
numaish-gah mein laya gaya hun

ba-qaul-e-barhaman qahr-e-KHuda hun
buton ke husn par Dhaya gaya hun

mujhe to is KHabar ne kho diya hai
suna hai main kahin paya gaya hun

'hafiz' ahl-e-zaban kab mante the
baDe zoron se manwaya gaya hun