jahan pe hota hun aksar wahan nahin hota
wahin talash karo main jahan nahin hota
agar tumhaari zaban se bayan nahin hota
mera wajud kabhi dastan nahin hota
bichhaD gaya tha wo milne se pesh-tar warna
main is tarah se kabhi raegan nahin hota
nazar bacha ke nikalna to chahta hun magar
wo kis jagah se hai ghaeb kahan nahin hota
kabhi to yun ki makan ke makin nahin hote
kabhi kabhi to makin ka makan nahin hota

Ghazal
Jahan pe hota hun aksar wahan nahin hota
Nadeem ahmad