jahan ko wo lab-e-mai-gun KHarab rakhte hain
KHuda KHabar ki ye kaisi sharab rakhte hain
ek aab-o-tab mah o aaftab rakhte hain
pa ru-kashi ki teri kab wo tab rakhte hain
zahe KHasasat-e-ahl-e-jahan ki misl-e-guhar
girah mein bandh ke dariya mein aab rakhte hain
kis e'tibar pe dije butan ko dil ki ba-zor
jo kuchh ki len hain kisi se ye dab rakhte hain
zaban-e-ishq shikayat se lal hai warna
hum ek gila ke tere sau jawab rakhte hain
na laT dhuen ki hai aisi na zulf sumbul ki
jo baal sar ke tere pech-o-tab rakhte hain
habab o bahr mein hajib wajud hi hai hum aah
milen kab us se ye jab tak hijab rakhte hain
liya hai hum ne bhi bosa diya hai us ko jo dil
ye sach hai dost dilon mein hisab rakhte hain
na kyun izar ki mohri hi shaiKH-ji si len
surin jo bahr-e-wazu dab dab rakhte hain
na jaane jate hain jun shoala hum kidhar 'qaem'
ki har dam ek naya iztirab rakhte hain
Ghazal
Jahan ko wo lab-e-mai-gun KHarab rakhte hain
Qayem Chandpuri