jahan hai maktab-e-hasti sabaq hai chup rahna
baDa gunah yahan hai alif se be kahna
shab-e-firaq mein sae se Dar ke kahta hun
aji ye raat Darani hai jagte rahna
chaman mein phul khile bagh mein bahaar aai
urus-e-dahr ne goya pahan liya gahna
hamari aah-o-baka se hai jism-e-shauq qawi
ye hath bayan hai apna wo hath hai dahna
fughan-e-bulbul-e-shaida na jaaniye is ko
baja raha hai koi sehn-e-bagh mein shahna
gham-e-firaq mein ai aasman nahin mauquf
wo jo suhaen mujhe mujh ko har tarah sahna
nikal de ki hai aise mein ju-e-ashk-e-rawan
bura hai baat ka ai chashm-e-dil mein le rahna
gali mein yar ki ho ya kisi KHarabe mein
hamein to hashr ke din tak kahin pe mar rahna
asar bhi 'shad' ke sheron mein hai matanat bhi
ye kohna-mashq hain in ki ghazal ka kya kahna
Ghazal
Jahan hai maktab-e-hasti sabaq hai chup rahna
Shad Azimabadi