jahan-e-marg-e-sada mein ek aur silsila KHatm ho gaya hai
kalam yani KHuda ka hum se mukalima KHatm ho gaya hai
hamein to bas ye pata chala tha ki unTon wale chale gae hain
kisi ko is ki KHabar nahin jo moamla KHatm ho gaya hai
na titliyon jaisi dopahar hai na ab wo suraj gulab jaisa
jise mohabbat kaha gaya wo mughaalta KHatm ho gaya hai
tumhaari baaton ke jin pe shahtut jhaD rahe hon wahi bataen
ki talKH-abaad mein hamara to zaiqa KHatm ho gaya hai
hamari aankhon se KHwab o KHas ke tamam pushte haTae jaen
hamara naraaz paniyon se muahida KHatm ho gaya hai
ab is liye bhi hamein mohabbat ko tul dena paDega 'tabish'
kisi ne puchha to kya kahenge ki silsila KHatm ho gaya hai
Ghazal
Jahan-e-marg-e-sada mein ek aur silsila KHatm ho gaya hai
Abbas Tabish