jahan bhar mein mere dil sa koi ghar ho nahin sakta
ki aisi KHak par aisa samundar ho nahin sakta
rawan rahta hai kaise chain se apne kinaron mein
ye dariya meri betabi ka mazhar ho nahin sakta
kisi ki yaad se dil ka andhera aur baDhta hai
ye ghar mere sulagne se munawwar ho nahin sakta
bahut be-tab hota hun main us ko dekh kar lekin
sitara teri aankhon se to baDh kar ho nahin sakta
ye mauj-e-umr har shai ko bahut tabdil karti hai
magar jo sans leta hai wo patthar ho nahin sakta
main us duniya mein rahta hun ki jis duniya ke logon ko
KHushi ka ek lamha bhi mayassar ho nahin sakta
Ghazal
Jahan bhar mein mere dil sa koi ghar ho nahin sakta
Ghulam Husain Sajid