jahaalat ka manzar jo rahon mein tha
wahi besh-o-kam dars-gahon mein tha
jo KHanjar-ba-kaf qatl-gahon mein tha
wahi waqt ke sarbarahon mein tha
ajab KHamushi us ke honTon pe thi
ajab shor us ki nigahon mein tha
use is liye mar Dala gaya
ki wo zist ke KHair-KHwahon mein tha
hamari nazar se wo kal gir gaya
jo kal tak hamari nigahon mein tha
wo kya deta 'aKHtar' kisi ko panah
jo KHud umr bhar be-panahon mein tha

Ghazal
Jahaalat ka manzar jo rahon mein tha
Wakil Akhtar