jaga sake na tere lab lakir aisi thi
hamare baKHt ki rekha bhi 'mir' aisi thi
ye hath chume gae phir bhi be-gulab rahe
jo rut bhi aai KHizan ki safir aisi thi
wo mere panw ko chhune jhuka tha jis lamhe
jo mangta use deti amir aisi thi
shahadaten mere haq mein tamam jati thin
magar KHamosh the munsif nazir aisi thi
katar ke jal bhi sayyaad ki raza ke baghair
tamam umr na uDti asir aisi thi
phir us ke baad na dekhe visal ke mausam
judaiyon ki ghaDi chashm-gir aisi thi
bas ek nigah mujhe dekhta chala jata
us aadmi ki mohabbat faqir aisi thi
rida ke sath luTere ko zad-e-rah bhi diya
teri faraKH-dili mere wir aisi thi
kabhi na chahne walon ka KHun-baha manga
nigar-e-shahr-e-suKHan be-zamir aisi thi
Ghazal
Jaga sake na tere lab lakir aisi thi
Parveen Shakir