jaga junun ko zara naqsha-e-muqaddar khinch
nai sadi ko nai karbala se bahar khinch
main zehni taur se aazad hone lagta hun
mere shuur mujhe apni had ke andar khinch
nai zamin lahu ka KHiraj leti hai
dayar-e-ghair mein bhi KHushnuma sa manzar khinch
udas raat mein tare gawah bante hain
rag-e-hubab se tu qatilana KHanjar khinch
abhi sitaron mein baqi hai zindagi ki ramaq
kuchh aur der zara narm garm chadar khinch
wajud-e-shahr to jangal mein Dhal chuka 'alam'
ab is jagah se mujhe jaanib-e-samundar khinch
Ghazal
Jaga junun ko zara naqsha-e-muqaddar khinch
Afroz Alam