jag mein aa kar idhar udhar dekha
tu hi aaya nazar jidhar dekha
jaan se ho gae badan KHali
jis taraf tu ne aankh bhar dekha
nala fariyaad aah aur zari
aap se ho saka so kar dekha
un labon ne na ki masihai
hum ne sau sau tarah se mar dekha
zor aashiq-mizaj hai koi
'dard' ko qissa muKHtasar dekha
Ghazal
Jag mein aa kar idhar udhar dekha
Khwaja Meer u0027Dardu0027