jafaen baKHsh ke mujh ko meri wafa mangen
wo mere qatl ka mujh hi se KHun-baha mangen
ye dil hamare liye jis ne ratjage kaTe
ab is se baDh ke koi dost tujh se kya mangen
wahi bujhate hain phukon se chand taron ko
ki jin ki shab ke ujalon ki hum dua mangen
fazaen chup hain kuchh aisi ki dard bolta hai
badan ke shor mein kis ko pukaren kya mangen
qanaaten hamein le aain aisi manzil par
ki ab sile ki tamanna na hum jaza mangen
Ghazal
Jafaen baKHsh ke mujhko meri wafa mangen
Khatir Ghaznavi