jafa ke zikr pe wo bad-hawas kaisa hai
zara si baat thi lekin udas kaisa hai
na jaane kaun fazaon mein zahr ghol gaya
hara-bhara sa shajar be-libas kaisa hai
meri tarah se na haq baat tum kaho dekho
bala ka saya mere aas-pas kaisa hai
ye faisla hai ki hum apne haq se baz aaen
to phir ye lahja ye tira, iltimas kaisa hai
wahi jo shahr ke logon mein tha bahut bad-nam
wahi to aaj sarapa sipas kaisa hai
main kya kahun ki main kyun dil se ho gaya majbur
tum hi batao ki wo KHush-libas kaisa hai
Ghazal
Jafa ke zikr pe wo bad-hawas kaisa hai
Abdussamad ’Tapish’