اردو हिंदी
Jafa-e-yar ko hum lutf-e-yar kahte hain | Shaahi Shayari
jafa-e-yar ko hum lutf-e-yar kahte hain

Ghazal

Jafa-e-yar ko hum lutf-e-yar kahte hain

Figar Unnavi

;

jafa-e-yar ko hum lutf-e-yar kahte hain
KHizan ko apni zaban mein bahaar kahte hain

wo ek sunte nahin hum hazar kahte hain
magar fasana bahar-e'tibar kahte hain

zamana qaid ko samjhe hue hai aazadi
kisi ke jabr ko hum iKHtiyar kahte hain

qafas mein rah ke mujhe ye bhi imtiyaz nahin
kise KHizan kise fasl-e-bahaar kahte hain

nafas nafas jo payam-e-hayat deti hai
usi nazar ko taghaful-shiar kahte hain

tumhaare husn ki jis dil ko raushni na mile
hum aise dil ko charagh-e-mazar kahte hain

teri nigah-e-taghaful se dil ne paya hai
wo ek kaif jise intizar kahte hain

mohabbat aur mohabbat mein aarzu-e-visal
hum is bahaar ko nang-e-bahaar kahte hain

KHadang-e-naz abhi hai tumhaari chuTki mein
na jaane log mujhe kyun 'figar' kahte hain