jabki ghusse ke bich aate ho
lakh lakh ek ki sunate ho
kaise har khae se bane piyare
baat karte hi kaT khate ho
uDti chiDiya ko hum parakhte hain
kase baaton mein tum uDate ho
kaho mujh se bhi chal sakoge kya
baiTho ji baaten kya banate ho
jas na tis par na dekh dah paDna
bhale matwale madh ke mate ho
jab main dekhun hun aankh bhar ke tumhein
badal aankhen mujhe dhiraate ho
kya tumhaari gadhi churai main
galiyan de jo munh churaate ho
jab na tab uTh ke 'azfari' ka gala
dab dhamkate aur Daraate ho
Ghazal
Jabki ghusse ke bich aate ho
Mirza Azfari