jabin pe gard hai chehra KHarash mein Duba
hua KHarab jo apni talash mein Duba
qalam uThaya to sar par kulah-e-kaj na rahi
ye shahryar bhi fikr-e-maash mein Duba
jhale hai pankha ye zaKHmon pe kaun aaTh pahar
mila hai mujh ko nafas irtiash mein Duba
ise na kyun teri dildari-e-nazar kahiye
wo neshtar jo dil-e-pash-pash mein Duba
'faza' hai KHaliq-e-subh-e-hayat phir bhi gharib
kahan kahan na ufuq ki talash mein Duba
Ghazal
Jabin pe gard hai chehra KHarash mein Duba
Faza Ibn e Faizi