jabin ki dhul jigar ki jalan chhupaega
shuru-e-ishq hai wo fitratan chhupaega
damak raha hai jo nas nas ki tishnagi se badan
is aag ko na tera pairahan chhupaega
tera ilaj shifa-gah-e-asr-e-nau mein nahin
KHirad ke ghaw tu diwana-pan chhupaega
hisar-e-zabt hai abr-e-rawan ki parchhain
malal-e-ruh ko kab tak badan chhupaega
nazar ka fard-e-amal se hai silsila darkar
yaqin na kar ye siyahi kafan chhupaega
kise KHabar thi ki ye daur-e-KHud-gharaz ek din
junun se qimat-e-dar-o-rasan chhupaega
tera ghubar zamin par utarne wala hai
kahan tak ab ye bagula thakan chhupaega
khulega baad-e-nafas se jo ruKH pe nil-kanwal
use kahan tera ujla badan chhupaega
tere kamal ke dhabbe tere uruj ke dagh
chhupaega to koi ahl-e-fan chhupaega
jise hai faiz meri KHanqah se 'danish'
wo kis tarah mera rang-e-suKHan chhupaega
Ghazal
Jabin ki dhul jigar ki jalan chhupaega
Ehsan Danish