jabin-e-shauq pe gard-e-malal chahti hai
meri hayat safar ka maal chahti hai
main wusaton ka talabgar apne ishq mein hun
wo meri zat mein ek yarghamal chahti hai
hamein KHabar hai ki us mehrban ki chaaragari
hamare zaKHmon ka kab indimal chahti hai
tumhaare baad meri aankh zid pe aa gai hai
wahi jamal wahi KHadd-o-KHal chahti hai
hum us ke jabr ka qissa tamam chahte hain
aur us ki tegh hamara zawal chahti hai
hari ruton ko idhar ka pata nahin malum
barhana shaKH abas dekh-bhaal chahti hai
Ghazal
Jabin-e-shauq pe gard-e-malal chahti hai
Ghalib Ayaz