jab zamin ke muqaddar sanwar jaenge
aasman se farishte utar aaenge
kaise phailenge wo log ufuq-ta-ufuq
apne andar simaT kar jo rah jaenge
chandni mauj-dar-mauj lahraegi
aks taron ke pani se tharraenge
barish-e-sang karte chale jaen wo
hum lahu ro ke bhi phul barsaenge
kanch ka jism le kar kisi shahr mein
wo agar jaenge bikhar jaenge
jin mein tanwir-e-ehsas jagi na ho
zehn aise khanDar hi to kahlaenge
ret uDegi jo sahra-e-iKHlas mein
aur kya apni muTThi mein hum laenge
Ghazal
Jab zamin ke muqaddar sanwar jaenge
Anwar Minai