اردو हिंदी
Jab wo mah-e-ruKHsar yakayak nazar aaya | Shaahi Shayari
jab wo mah-e-ruKHsar yakayak nazar aaya

Ghazal

Jab wo mah-e-ruKHsar yakayak nazar aaya

Daud Aurangabadi

;

jab wo mah-e-ruKHsar yakayak nazar aaya
us mah ki talat sun suraj dil mein dar aaya

tere ruKH-e-raushan kun siyah KHat mein sirijan
dekha so kaha abr-e-siyah mein qamar aaya

gulshan mein chal ai sarw-e-sahi sair ki KHatir
tujh waste le gul tabaq-e-naqd-e-zar aaya

tujh jam-e-nayan mein hai ajab baada-e-sarshaar
yak did sati jis ke ho dil be-KHabar aaya

muhtaj-e-kabutar nahin mujh shauq ka nama
qasid ho mera dil le sajan ki KHabar aaya

kahte hain sab ahl-e-suKHan is sher kun sun kar
tujh taba mein 'daud' 'wali' ka asar aaya