jab wo aali-dimagh hansta hai
ghuncha khilta hai bagh hansta hai
hath mein dekh kar tere marham
mere sine ka dagh hansta hai
kya hawa phir gai hai gulshan ki
saut-e-bulbul ko zagh hansta hai
shama har sham tere rone par
subh-dam tak charagh hansta hai
shaiKH ki dekh surat-e-taqwa
aaj 'hatim' ayagh hansta hai
Ghazal
Jab wo aali-dimagh hansta hai
Shaikh Zahuruddin Hatim