jab us ki zulf ke halqe mein hum asir hue
shikan ke aadi hue KHam ke KHu-pazir hue
KHadang-war jo ghamze the us ke chhuTpan mein
par ab nazar mein jo aae to rashk-e-tir hue
jhiDak diya hamein kuche mein us ne har-dam dekh
hum apne dil mein kuchh us dam KHajil kasir hue
jo gah gah adhar jate hum to rahti qadr
ghaDi ghaDi jo gae is sabab haqir hue
nigah ke laDte hi hans kar kaha 'nazir' us ne
ye baaten chhoD do kuchh samjho ab to pir hue
Ghazal
Jab uski zulf ke halqe mein hum asir hue
Nazeer Akbarabadi