jab us ka idhar hum guzar dekhte hain
to kar dil mein kya kya hazar dekhte hain
udhar tir chalte hain naz-o-ada ke
idhar apna sina sipar dekhte hain
sitam hai kan-ankhiyon se gar tak lije
ghazab hai agar aankh bhar dekhte hain
na dekhen to ye haal hota hai dil ka
ki sau sau taDap ke asar dekhte hain
jo dekhen to ye ji mein guzre hai KHatra
abhi sar uDega agar dekhte hain
magar is tarah dekhte hain ki us par
ye sabit na ho jo udhar dekhte hain
chhupa kar dagha kar 'nazir' us sanam ko
gharaz har tarah ek nazar dekhte hain
Ghazal
Jab us ka idhar hum guzar dekhte hain
Nazeer Akbarabadi