اردو हिंदी
Jab unhi ko na suna pae gham-e-jaan apna | Shaahi Shayari
jab unhi ko na suna pae gham-e-jaan apna

Ghazal

Jab unhi ko na suna pae gham-e-jaan apna

Zia Jalandhari

;

jab unhi ko na suna pae gham-e-jaan apna
chup lagi aisi ki KHud ho gae zindan apna

na-rasai ka bayaban hai ki irfan apna
is jagah ahrman apna hai na yazdan apna

dam ki mohlat mein hai tasKHir-e-mah-o-mehr ki dhun
sans ek silsila-e-KHwab-e-darKHshan apna

talab us ki hai ki jo sarhad-e-imkan mein nahin
meri har rah mein hail hai bayaban apna

kaisi duri usi shole ki hai zau mera jamal
jis se tabinda raha dida-e-giryan apna

armughan hain teri chahat ke shagufta lamhe
be-KHudi apni shab apni mah-e-taban apna

is tarah aks paDa tere shafaq honTon ka
subh-e-gulzar hua sina-e-viran apna

aisi ghaDiyan kai mujh aison pe aai hongi
waqt ne jin se saja rakkha hai aiwan apna