jab tak daur-e-jam chalega
saqi tera nam chalega
mandir mein zunnar chalegi
kabe mein ehram chalega
jogi ka sanjog nahin to
sufi ka ilham chalega
zina zina un zulfon ka
fitna su-e-baam chalega
raste sau eajaz karenge
jab wo sarw-andam chalega
sannaTe bisram karenge
basti mein kohram chalega
kab tak ye din raat chalenge
kab tak ye ibham chalega
kab tak lab KHamosh rahenge
kab tak ye hangam chalega
kya meri tadbir chalegi
kya mera iqdam chalega
jab tak sar pe dhup khaDi hai
saya be-aram chalega
koi narm hawa ka jhonka
subh nahin to sham chalega
aise kaise baat banegi
aise kaise kaam chalega
duniya ka ye gorakh dhanda
kaise be-auham chalega
Ghazal
Jab tak daur-e-jam chalega
Rasa Chughtai