jab sen tujh ishq ki garmi ka asar hai man mein
tab sen phirta hun udasi ho birah ke ban mein
aaj ki raat mera chand nazar aaya hai
chandni dud si chhiTki hai mere aangan mein
us ki sabit-qadami par sati qurban hun mein
khet chhoDa nahin mujh dil ne parat ke ran mein
qatra-e-ashk mera dana-e-tasbih hua
raat din mujh kun guzarta hai teri sumran mein
jab sen dastar rangaya hai sanam abbasi
gul-e-abbas kun nin rang raha gulshan mein
sair-e-dariya sen nahin hum kun tasalli mumkin
gham ke tufan ubalte hain hamare man mein
kyun na hoe dil-e-yaqut-laban mom 'siraj'
kaam karta hai meri aah ka hira khan mein
Ghazal
Jab sen tujh ishq ki garmi ka asar hai man mein
Siraj Aurangabadi

