اردو हिंदी
Jab se ummid bandhi patthar par | Shaahi Shayari
jab se ummid bandhi patthar par

Ghazal

Jab se ummid bandhi patthar par

Nabeel Ahmad Nabeel

;

jab se ummid bandhi patthar par
dhul si jam gai muqaddar par

kis ne chadar dhuen ki tani hai
mere jannat-misal manzar par

mere chaaragaron ne rakkha hai
ek ek raste ko Thokar par

aasman ki talab mein kaT kar bhi
phaDphaDate rahe barabar par

pas tir-o-kaman ke hote hue
KHauf tari hai mere lashkar par

jab ghaDi imtihan ki aai
main ne rakh di zaban aKHgar par

qaid kamre mein ho gaya hun 'nabil'
phenk kar main gali se bahar par