jab se sane ne banaya hai jahan ka bahrup
apni nazron mein hai sab kaun-o-makan ka bahrup
main gaya bhes badal kar to laga yun kahne
chal be laya hai mere aage kahan ka bahrup
chand tare hain ye kaise ye shab o roz hai kya
kuchh samajh mein nahin aata hai yahan ka bahrup
chashm-e-bina hon to daDhi ki do-rangi samjhen
ek chehre pe hai ye pir o jawan ka bahrup
pahne jate hain kai rang ke kapDe din mein
kya kahun hae ghazab hai ye butan ka bahrup
bagh mein turra-e-sumbul ki pareshani se
saf nikla tere shorida-saran ka bahrup
'mushafi' sang se kya ukhDe hai pashm us ki bhala
sau tarah se ho jise yaad zaban ka bahrup
Ghazal
Jab se sane ne banaya hai jahan ka bahrup
Mushafi Ghulam Hamdani

