jab se qarib ho ke chale zindagi se hum
KHud apne aaine ko lage ajnabi se hum
kuchh dur chal ke raste sab ek se lage
milne gae kisi se mil aae kisi se hum
achchhe bure ke farq ne basti ujaD di
majbur ho ke milne lage har kisi se hum
shaista mahfilon ki fazaon mein zahr tha
zinda bache hain zehn ki aawargi se hum
achchhi bhali thi duniya guzare ke waste
uljhe hue hain apni hi KHud-agahi se hum
jangal mein dur tak koi dushman na koi dost
manus ho chale hain magar bambai se hum
Ghazal
Jab se qarib ho ke chale zindagi se hum
Nida Fazli