jab se main KHud-shanas ho gaya hun 
KHamushi ka niwas ho gaya hun 
gham se yun ru-shanas ho gaya hun 
bewgi ka libas ho gaya hun 
dosto tum uchhaal do hawa mein 
main ki KHali gilas ho gaya hun 
kitne sawan baras chuke mujh par 
jalte sahra ki pyas ho gaya hun 
tu mile to main sabz ho jaun 
hijr mein zard ghas ho gaya hun 
maut ki KHushbu aa rahi hai 'munir' 
main ki bimar ki sans ho gaya hun
        Ghazal
Jab se main KHud-shanas ho gaya hun
Muneer Saifi

