jab se ki buton se aashna hun
begana KHudai se hua hun
kyun kar kahun aarif-e-KHuda hun
aagah nahin ki aap kya hun
jab hijr mein bagh ko gaya hun
main aatish-e-gul mein jal-bujha hun
furqat mein jo sar paTak raha hun
mashghul-e-namaz-e-kibriya hun
munh zard hai tinke chun raha hun
ai wahshat kya main kahruba hun
begana hun kyun kar aashna se
beganon se main bhi aashna hun
munh un ka nahin hai shukr warna
har but kahta ki main KHuda hun
ummid-e-visal ab kahan hai
us gul se ba-rang-e-bu juda hun
kyun dost na KHush hon jae matam
simab ki tarah mar gaya hun
KHilqat KHush ho jo main hun pamal
gulzar-e-jahan mein kya hina hun
hans dunga dam mein misl-e-gul aap
ghunche ki tarah se go KHafa hun
aatish-qadami se jalte hain KHar
ai qais main wo barhana-pa hun
karte hain gurez mujh se manhus
be-shubah main saya-e-huma hun
hun qafila-e-adam se aage
is rah mein nala-e-dara hun
'nasiKH' ki ye iltija hai yarab
mar jaun to KHak-e-karbala hun
Ghazal
Jab se ki buton se aashna hun
Imam Bakhsh Nasikh