jab se apne aap ko pahchanta hun main
parde mein har libas ke uryan hua hun main
mujh se milo ki main hun zamane ki raushni
zulmat mein aaftab ki surat paDa hun main
aankhen bhi hon to dekhna aasan nahin mujhe
tabaniyon ki kohar mein Duba hua hun main
ab apni shakl DhunDhta phirta hun chaar-su
tufan-e-sad-nigah mein gum ho gaya hun main
gahre samundaron ki tarah KHamushi mein gum
apni sada ke sehr se lab kholta hun main
lamhon ka lams kar gaya patthar mujhe 'nadim'
lekin lahu ki aanch se hira bana hun main

Ghazal
Jab se apne aapko pahchanta hun main
Salahuddin Nadeem