jab samaat teri aawaz talak jati hai
jaane kyun panw ki zanjir chhanak jati hai
phir usi ghaar ke asrar mujhe khinchte hain
jis taraf sham ki sunsan saDak jati hai
jaane kis qarya-e-imkan se wo lafz aata hai
jis ki KHushbu se har ek satr mahak jati hai
mu-qalam KHun mein Dubota hai musawwir shayad
aankh ki putli se taswir chipak jati hai
dastanon ke zamanon ki KHabar milti hai
aaine mein wo pari jab bhi jhalak jati hai
KHushk patton mein kisi yaad ka shoala hai 'said'
main bujhata hun magar aag bhaDak jati hai
Ghazal
Jab samaat teri aawaz talak jati hai
Saeed Ahmad