jab nashat-e-alam nahin hota
jam-e-jam jam-e-jam nahin hota
jaane kyun teri be-ruKHi se bhi
dil ko ab koi gham nahin hota
aa gaya hun tere huzur magar
fasla phir bhi kam nahin hota
wo masarrat talash karta hai
jis ko irfan-e-gham nahin hota
umr bhar tujh ko dekhne par bhi
zauq-e-nazzara kam nahin hota
kya kahun dil ko kya hua 'rifat'
daman-e-chashm nam nahin hota
Ghazal
Jab nashat-e-alam nahin hota
Rifat Sultan