اردو हिंदी
Jab manzilon wahm tha na shab ka | Shaahi Shayari
jab manzilon wahm tha na shab ka

Ghazal

Jab manzilon wahm tha na shab ka

Shohrat Bukhari

;

jab manzilon wahm tha na shab ka
main nikla hua hun ghar se tab ka

jis shahr mein bas rahe the hum tum
wo shahr ujaD chuka hai kab ka

thi pahle ajab judai un ki
ab KHud se firaq hai ghazab ka

ai mahw-e-tilism-e-roz-e-raushan
darpesh abhi safar hai shab ka

har gul se bhaDak rahe hain shoale
ye ahd magar hai bu-lahab ka

tum kahe ko akaD rahe ho tanha
'shohrat' ye muamla hai sab ka