jab main us aadmi se dur hua
gham meri zindagi se dur hua
main bhi us ke makan se nikla
wo bhi meri gali se dur hua
dil se kanTa nikalne ke baad
dard apni kami se dur hua
wo samajhta raha ki roega
main baDi KHamushi se dur hua
raste mein jo ek samundar tha
meri tishna-labi se dur hua
wo jise mujh se dur hona tha
main to 'arshad' usi se dur hua
Ghazal
Jab main us aadmi se dur hua
Arshad Lateef