اردو हिंदी
Jab khule muTThi to sab paDh len KHat-e-taqdir ko | Shaahi Shayari
jab khule muTThi to sab paDh len KHat-e-taqdir ko

Ghazal

Jab khule muTThi to sab paDh len KHat-e-taqdir ko

Siddique Afghani

;

jab khule muTThi to sab paDh len KHat-e-taqdir ko
ji mein aata hai miTa dun hath ki tahrir ko

jism sannaTe ke aalam se guzarta hi nahin
be-hisi ne aur aur bojhal kar diya zanjir ko

bahta dariya hai ki aaina-gari ka silsila
dekhta rahta hun pani mein teri taswir ko

subh-e-nau ne kaT Dale sham-e-zulmat ke hisar
kis tarah roke koi kirnon ki ju-e-shir ko

dhaDkanon ki chap ruk jae to aae nind bhi
sath le kar phir raha hun shor-e-dar-o-gir ko

jab maani ka ujala hi na ho alfaz mein
kyun karen raushni suKHan ki sham-e-be-tanwir ko

dhund sae KHauf gahri chup hawa ki be-ruKHi
kaise aalam mein chala hun dahr ki tasKHir ko

apni peshani pe shohrat ki lakiren khinch le
apne sine se laga le katba-e-tashhir ko

aks aaine se pahle tha to phir 'siddiqi' kyun
KHwab se pahle na dekha KHwab ki tabir ko