jab KHilaf-e-maslahat jine ki naubat aai thi
Dub marte Dub marne mein agar danai thi
main to har mumkin use lata raha tere qarib
kya karun ai dil teri taqdir mein tanhai thi
KHauf ka ifrit sansen le raha tha dasht mein
raat ke chehre pe sannaTe ki dahshat chhai thi
ek ye naubat ki wahshat DhunDhta phirta hun main
ek wo mausam ki gulshan ki hawa sahrai thi
aasman se gir rahi thi shoKH rangon ki phuwar
meri aankhon mein tere didar ki ranai thi
shab-guzidon se hisab-e-gham chukane ke liye
tum na aae the magar subh-e-qayamat aai thi
main kidhar jata ki har jaanib zaban-e-KHalq thi
main kahan chhupta ki mere khoj mein ruswai thi
dahr mein mashhur thi 'shahid' meri bechaargi
aur an-dekhe jahanon par meri darai thi

Ghazal
Jab KHilaf-e-maslahat jine ki naubat aai thi
Shabbir Shahid